SHER E KHUDA HAZRAT ALI (A.S) FARMANS
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
Jahan Sadaaqat (Sachai)Aur Khuloos
Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka
Hath Barhao Warna Tumhari Tanhaee
Tumhari Behtreen Saathi Hai.
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
“Apne Behtareen Waqt Ko NAMAZ Ke Liye Waqf Karo, Kyun Ke
Tumhare Sab Kaam Tumhari NAMAZ Ke Baais Qabool Honge.”
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
‘‘Insan dukh nahi detay insanon se wabista umeeden dukh deti hen
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
3 Banday 3 Cheezon Se
Mehroom Rahen Gey.
1- Gussey Wala Durust Faislay Se.
2- Jhoota Izzat Se.
3- Jald Baaz Kamyabi Se,
Mehroom Rahe Ga.
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
3 Kaam Kisi Kay DiL Main
Aap Ki Izzat Barhatay Hain.
1- Salam Karna.
2- Kisi Ko Jagah Dena.
3- Asal Naam Se Pukarna.
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
“Har INSAN Ki Izzat Aur Us Se Mohabbat Karo,
Kyun Ke Har INSAN Ke Ander KHUDA Ki
Koi Na Koi Sift Zaroor Moujood Hoti Hai.”
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
“Tum Acha Karo Aur Zamana Tum Ko Bura Samjhe,
Yeh Tumhare Haq Main Behtar Hai. Bajaye Iss Kay,
Ke Tum Bura Karo Aur Zamana Tum Ko Acha Samjhe.”
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
“Kabhi Apne Dost Ki Sachai Ka Imtehan Na Lo,
Kya Pata Us Waqt Woh Majboor Ho,
Aur Tum Aik Acha Dost Kho Betho.”
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
Gunah Par Nidamat Gunah Ko Mita Deti Hai,
Aur Neki Par Guroor Neki Ko Tabah K
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
Aap Kabhi Kisi Ki Madad Kartay Waqt
Ye Na Socho K Wo Haqdar H K Nahi
Kyu K Ho Sakta H ALLAH Ne Aap Ko Bohat
Si Aisi Chezoon Se Nawaza Ho
Jin K Ap Haqdar Na Hon,
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S)
Se Kisi Ne Poocha Ke,
DOST Aur BHAI Main Kiya Faraq Hai??
Aap Ne Farmaya:
Ke BHAI SONA Aur DOST HEERA Hai.
Phir Us Ne Poocha Ke,
SONAY Aur HEERAY Main Kya Faraq Hai??
Aap Ne Jawab Diya:
SONA Toot Ke Phir Ban Sakta Hai,
Lekin HEERA Nahin..
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
Insan Bhi Kitna Ajeeb Hai, Jab Kisi Cheez Se Darta Hai,Tou Us Se Door Bhaagta Hai. Jab KHUDA Se Darta Hai,Tou Uss Kay Aur Nazdeek Ho Jata Hai.
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
Jab Aankhen Nafs Ki Pasandeda Cheezain Dekhne Lagen,Tou DiL Anjaam Se Andha Ho Jata Hai.
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
Gunah Par Nidamat Gunah Ko Mita Deti Hai,
Aur Neki Par Guroor Neki Ko Tabah Kar Deta Hai.
Sher-e-Khuda Hazrat Ali (A.S) Aap Ne Farmaya,
Gulaab Kay Phool Ki Manind Ban Jao Kyun Ke,
Yeh Phool Us Ke Hathon Main Bhi Khushbu Chhor Jata Hai,Jo Issay Masal Kar Phaink Deta Hain.